Saturday, April 11, 2009

Vote for BJP - Support for BJP


Bharat mata ki Jay

Vishv ke samast Hinduo ko Jay Shri Ram, Behno aur Bhaio, Aap sab logo ko Ramnavmi ki hardik Shubhkamnae, Hindustan aur Vishv ke sabhi hinduo se meri hardik prarthna hai, hindustan jis daur se gujar raha hai wo bahot hi kathhin samay hai pure desh ke lie, ek taraf hame aatankvad kadi chunautiyaa de raha hai, dusri taraf videshi takatein Hindustan ko todne ki yojnae bana rahi hai, ese mein hamein ekjut ho kar is daur se ubharna hoga. In dino hindustan mein chunav apni charamsima par pahochne vala hai, hindustan ki bahot si rajnitik paritya samaaj ko aur janata ko apni taraf aakarshit karneki yojnae bana rahi hai, Congress ne desh mein garibi ko itna badhava diya hai ki aaj hindustan jo duniya ki No 1 Shakti kehlane vala tha, iski jimmedari saari Congress pe aati hai, Congress jo kehti hai kabhi pura nahi kiya, Gandhi parivar sirf apni sampatti banane mein laga raha hai, use desh ki koi chinta nahi hai, agar desh ki chinta karne wali koi party hai to wo Bhartiy Janata Party hai jo ki Vajpeyiji ke netritv mein ek bar kendra mein sarkar bana chuki hai. Hindustan ko todne ki yojnao mein bahot se log ese hai jo rajnitik partio ke neta hai, jese ki, Lalu Prasad Yadav, Sharad Pavar, Mulayamsing Yadav, Mayavati, Sonia Gandhi, Umar Abulla, Mufti mohhamed Said, Raj Thakre.. bahot se ese nam hai jinki mein charcha nahi karna chahta, agar Hindustan ko duniya ki sabse badi shakti banana hai to in netao ko rail se nikal kar jail me dalna chahie, ye netao ke personal bank account aur sampattio ka agar janta hisaab-kitab lena chahe to behisaab daulat hai aur videsho mein inke business hai. Mein aap sab se prarthna karta hu ki Bharatiya janata party ke sabhi candidates ko apna vote dein, support dein aur Hindustan ko ek nayi disha ki aur le jaaein, aapka ek vote Hindustan ki kismat badal sakta hai.
Jaha tak Shri Ram Janma Bhumi ka sawal hai, Hindustan ki rajnitik partiya yad rakhe ya na rakhe, shri ram sena international hamesha is mudde ke liye har jagah morcha leke taiyar hai, koi bhi sarkar aae ya jaae par hinduo ka Ram mandir jarur banae. Ram Mandir Hinduo ka itihaas batata hai. Hindustan ke dusre dharmo ke logo se mein prarthana karta hoon ki wo ram mandir banane mein bharatiya janata party ki madad kare.

Pichhle dino maharashtra mein aatanki hamle ne Hindustan ko dara aur dhamkane ki jo koshish ki hai, mein un logo ko keh dena chahta hoon ki is tarike ki ghatnao se Hindustan aur Hindustan ki janata darne wali nahi hai, mein un sabhi logo ki aatma ki shanti ki prarthana karta hu jo ki maharashtra ke hamle mein shahid hue hai, agar Hindustan ki janata unko shradhanjali dena chahti hai jo Mumbai hamle mein maare gae hai to bharatiya janata party ko vote dekar kendra ki sarkar banane mein madad karein.

Mein shri ram sena ke lakhon karyakartao aur netao se prarthana karta hu ki wo bharatiya janata party ki madad karein, unke lie chunav mein har sambhav prayaas kar ke unhe jitayein aur Sansad tak pahochane mein madad kare. Shri ram sena ka kaam hinduo ki raksha, hinduo ke adhikar, hinduo ke maan, samman aur hindu sanskruti ko bachana hai.

Ram sena ke kai pad-adhikari kanoon ko apne hath me lene ki koshish karte hai meri unse vinati hai ki kanoon ka ullanghan ram sena ke siddhanto mein nahi hai, ram sena ke karyakartao ko meri shubhkamnae aur mera ashirvad, muje esi suchna mili hai ki aatanki sangathan mujhe jaan se maarna chahte hai ,aur kuch kattarvadi musalmaano ne mujh par fatwa jaari bhi kiya hai ki jo bhi mujhe maarega use 50 Karod rupya diya jaega, shri ram sena ke sabhi ram bhakto se meri prarthana hai ki wo kisi bhi tarike ke dar aur bhay me rehkar jeevan na jie, Hindustan azaad desh hai aur yaha sab ko azadi se rehne ka adhikar hai, hum apni suraksha khud kar sakte hai, hume bhagvan Ram aur Hanuman ki kripa hai.

Mein ek bar puneh nivedan karta hun ki Bharatiya Janata Party ko vote dekar vijayi banae.

Kalik Ji Maharaj
International President - Shri Ram Sena
Former President - Shiv Sena J&K State
http://www.shriramsena.com

0 comments:

Post a Comment